bother no one

Tuesday, March 11, 2008

Mann Manthan

I had written this poem in school
long long time back..
good that I had written it down some place I could find it later ;)
( offcourse... please note that this was written in school so don't judge me by it! )

iss duniya mein bass shor hai
par jeevan ka ek chor hai
jaha nahi hai koi bhi rikti
nirmal man ki hai abhivyakti.

iss rikt jeevan mein kahi hai koi bahar
bass man mein hai yahi vichar

sab ke jeevan ki abhilasha hai
ek saathi apna talashna hai
jo saath de samay ke uss chor tak
uss swarnim pal ki chamakti bhor tak.
mann ki har iccha ho poori,
bache na koi gali sooni.

prabuddha jan kare chintan,
apne vicharon ka kare manthan,
ki saathi ek nahi anek ho
sab ke mann bhi ak ho.

milkar banaye ess dhara ko ek swarg
jaha khushi se rahe har varg
aise sathiyon ke liye kavi,
kholta hai apne mann kaq darpan
kar shabda suman tumko arpan!

0 Comments:

Post a Comment

<< Home